Koi lauta saka na
meri khoi javaani,
koi roak na paaye
meri aankho ka paani
iss sheher ki dhul mein
mil rahi hain
meri patthar ki neev,
meri manjilein purani
nayaa zamana hai,
naye padarth hain,
par hamein bhul jaana
ye kaise swarth hain
sheeshe aur lohe ki
immarat jo banayee,
patthar aur mitti ke
ye chaar diwaari na yaad aayi
ab unhi mein rehte ho,
unhi mein sote ho
hamein dafnaane ki
kasmein jo lete ho
tum bhul jaaoge par
mujhe aise hi jeena ahi
ab baaki ye zindagi
mujhe ye dard peena hai
Author’s Note: Time changes and so does the style of building , and eventually people forget the glory of the building. the poem describes in a buildings perspective the same phenomena with respect to the change from vernacular haistyle to the urban glass and steel cages.